Ghazni

Kama ke jo bhi lata hai

Kama ke jo bhi lata hai woh ghar pay waar deta hai
Karaye daar ko ghar ka kiraya maar deta hai

Tujhe maloom hai na hum kisi se lar nahi satke
Hamaray haath mein phir kis liye talwar deta hai

Kisi ko gaaliyan dena shareefon ka nahi shewa
Jo hota hai bura gaali wohi badkaar deta hai

Mujhe pakka yaqeen hai mein taraqqi paon ga ik din
Duayen raat din mujh ko mra dildar deta hai

Bohat takleef hoti hai bohat rota hai dil ghazni
Wafaon ke aiwz dhoka koi jab yaar deta hai

Ghazanfer ghazni