Kama ke jo bhi lata hai
Kama ke jo bhi lata hai woh ghar pay waar deta hai
Karaye daar ko ghar ka kiraya maar deta hai
Tujhe maloom hai na hum kisi se lar nahi satke
Hamaray haath mein phir kis liye talwar deta hai
Kisi ko gaaliyan dena shareefon ka nahi shewa
Jo hota hai bura gaali wohi badkaar deta hai
Mujhe pakka yaqeen hai mein taraqqi paon ga ik din
Duayen raat din mujh ko mra dildar deta hai
Bohat takleef hoti hai bohat rota hai dil ghazni
Wafaon ke aiwz dhoka koi jab yaar deta hai
Ghazanfer ghazni
Aik hi geet lab pay subah o shaam hai

Aik hi geet lab pay subah o shaam hai
Aur is geet mein bas tra naam hai
Is mein zarra barabar sadaqat nahi
Be wafaon ka mujh pay jo ilzaam hai Continue reading “Aik hi geet lab pay subah o shaam hai”
Burai Karte Hain
Peeth Peche Burai Karte Hain
Saamne Bhai Bhai Karte Hain
Dil Ki Baaton Main

Dil Ki Baaton Main Na Aaya Ke jiye
Yun Hamain Na Aazmaya Ke Jiye
Ham Ko Lagta Hai Shab-e Hijran Se Dar
Chor Kar Ham Ko Na Jaya Ke Jiye
Kama Ke Jo Bhi Lata Hai

Kama Ke Jo Bhi Lata Hai Wo Ghar Pey Waar Deta Hai
Karaye Daar Ko Ghar Ka Karaya Maar Deta Hai