Takhta Dar Par Chahye Jisay

Takhta Dar Par Chahye Jisay Latka Di Jiye
Itne Logo Mein Gunah-Gar Koi Tu Ho Ga
Takhta Dar Par Chahye Jisay Latka Di Jiye
Itne Logo Mein Gunah-Gar Koi Tu Ho Ga
Yaar Hote Tu Mujhe Munh Par Bura Keh Dete
Bazam Mein Mera Gila Sab Ne Kiya Mere Baad
Talash Karni Thi Ik Roz Apni Zaat Mujhe
Ye Bhoot Bhi Mere Sar Par Sawar Hona Tha
Rehna Na Diya Us Ne Kisi Kaam Ka Mujhe
Aur Khak Mein Bhi Mujh Ko Mila Kar Nahi Gya
Ghabra Ke Aasman Ke Tarf Dekhti Thi Khalaq
Jese Khuda Zameen Peh Mojood Hi Na Tha