Aik Chehray Mein To Mumkin Nahi

Aik Chehray Mein To Mumkin Nahi Itnay Chehray
Kis Se Karte Jo Koi Ishhq Dobaara Karte
Aik Chehray Mein To Mumkin Nahi Itnay Chehray
Kis Se Karte Jo Koi Ishhq Dobaara Karte
Hazaar Raah Chalay Phir Woh Reh Guzar Aayi
Ke Ik Safar Mein Rahay Aur Har Safar Se Gaye
Haye Woh Log Gaye Chaand Se Milnay Aur Phir
Apne Hi Tootay Hue Khawab Utha Kar Le Aaye
Hawa Ke Dosh Pay Rakhay Hoye Chairag Hain Hum
Jo Bujh Gaye To Hawa Se Shikaytein Kaisi
Palat Sakoo Hi Nah Agay Hi Barh Sakoo Jis Par
Mujhe Yeh Kon Se Raste Laga Gaya Ik Shakhs
Shayad Is Raah Pay Kuch Aur Bhi Raahi Ayen
Dhoop Mein Chalta Rahon Saaye Bichaya Jaoon
Jo Dil Ko Hai Khabar Kahin Milti Nahi Khabar
Har Subah Ik Azaab Hai Akhbaar Dekhna