Chale Ga Pani Magar

Azal Se Qayam Hain Dono Apni Zidon Pe Mohsin
Chale Ga Pani Magar Kinara Nahi Chale Ga
Azal Se Qayam Hain Dono Apni Zidon Pe Mohsin
Chale Ga Pani Magar Kinara Nahi Chale Ga
Chal Para Hun Mein Zamane Ke Asolon Pe Mohsin
Mein Ab Apni Hi Baton Se Mukar Jata Hun
Ik Diya Dil Mein Jlana Bhi, Bhuja Bhi Dena
Yaad Karna Bhi Usay Roz, Bhula Bi Dena
Kia Kahon Ye Meri Chahat Hai Ke Nafrat Us Ki
Naam Likhna Bhi Mera, Likh Ke Mita Bhi Dena
Phir Na Milne Ko Bicharta Tu Hon Tuj Se Lekin
Mur Ke Dekhon Tu Paltne Ki Dua Bhi Dena
Khat Bhi Likhna Use, Mayus Bhi Rehna Us Se
Jurm Karn Abhi Mgar Khud Ko Saza Bhi Dena
Muj Ko Rasmo Ka Tsawur Bhi Gwara Lekin
Jee Mein Aye To Ye Dewar… Gira Bhi Dena
Use Se Mansoob Bhi Kar Lena Purane Qisay
Us Ke Balon Mein Naya Phol Saja Bhi Dena
Sorat Naqsh E Qadam Dasht Mein Rehna Mohsin
Apne Hone Se Na Hone Ka Pta Bhi Dena
Safar Tanha Nahi Karte
Suno Aisa Nahi Karte
Jisay Shafaaf Rakhna Ho
Usay Mela Nahi Karte
Tri Ankhen Ijazat Den
To Hum Kya Kya Nahi Karte
Bohat Ujrey Hue Ghar Par
Bohat Socha Nahi Karte
Safar Jis Ka Muqaddar Ho
Usay Roka Nahi Karte
Read More […]
Siah Raat Mai Jalte Hain Jugnu Ki Tarah
Dilon Ke Zakhm Bi Mohsin Kmal Hote Hain
Thehrti Hui Shab-e-Syah Aur Wo Bi Taweel Tar
Mohsin Hijr Ke Maron Par Qayamat Hai December
Hmain Tu Kab Se Pta Hai K Tu Bewafa Hai Mohsin
Tuje Chaha Is Liye Shayad Teri Fitrat Badal Jaye
Kehta Tha Ke Tu Na Mila Tu Mar Jaon Ga Mohsin
Wo Aaj Bi Zinda Hai Yehi Baat Kisi Aur Ko Kehne Ke Liye