Har Roz Muslman Hota Hai

Phir Un Ki Gali Main Jaye Ga, Phir Sahu Ka Sajda Kar Le Ga
Is Dil Par Barosa Kon Kare Har Roz Muslman Hota Hai
Phir Un Ki Gali Main Jaye Ga, Phir Sahu Ka Sajda Kar Le Ga
Is Dil Par Barosa Kon Kare Har Roz Muslman Hota Hai
Kal Chaudhvin Ki Raat Shab Bhar Raha Charcha Tera
Kuch Na Kaha Ye Chand Hai Kuch Ne Kaha Chehra Tera
Wo Sham Wo Rukhsar Ka Sman Yaad Rahe Ga
Wo Shehr Wo Kocha Wo Makan Yaad Rahe Ga
Wo Tain K Ubrhi Thi Idhar Yaad Rahe Gi
Wo Dard Ka Utha Tha Yahan Yaad Rahe Ga
Jab Shehr Ke Lo Na Rasta Den Kyun Ban Mein Na Ja Basram Kare
Dewaano Ki Si Na Baat Kare Tu Aur Kare Dewana Kya
Insha Ji Utho Ab Kooch Karo Is Shehr Mein Ji Ko Laga Kya
Wehshi Ko Sakonn Se Kya Matlab Jogi Ka Nagar Mein Thikana Kya
Apni Zuban Se Kuch Na Kahen Gey Chup Hi Rahen Gey Aashiq Log
Tum Se Tu Itna Ho Sakta Hai Pocho Haal Becharon Ka
Hum Log Tu Zulmat Mein Jene K Bi Aadi Hain
Is Dard Ne Kun Dil Mein Shamein Si Jala Di Hain
Ik Yaad Pey Aahon Ka Tufan Umadta Hoa Aata Hai
Ik Zikar Pey Ab Dil Ko Thama Nahi Jata Hai
Ik Naam Pey Aankhon Mein Aansoo Chale Aate Hain
Ji Ham Ko Jilata Hai Ham Ji Ko Jilaty Hain
Ham Log Tu Mudat Se Awar O Heran They
Us Shakhs Ke Geso Kab Is Tor Preshan They
Ye Shakhs Ae Dil Mgar Pardes Suhare Ga
Ye Dard Hmain Jane Kis Ghat Utare Ga
Ishq Ka Chakar Hai Insha Ke Sitaron Ko
Han Ja Ke Mubarak Do Phir Najad Mein Yaaron Ko
Poet: Ibn e Insha
Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dino
Ik Mele Mai Pohncha Hmakta Hoa
Ji Machlata Tha Ik Ik Shay Par Mgar
Jeeb Khai Thi Kuch Mol Le Na Saka
Lot Aya Liye Hasratain Sainkron
Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dino
Khair Mehromaio Ke Wo Din Tu Gaye
Aaj Mela Lga Hai Usi Shan Se
Aaj Chahon Tu Ik Ik Dukan Mol Lon
Na Rasai Ka Ab Ji Mai Dharka Kahan
Par Wo Chota Sa, Alhar Sa Larka Kahan
Submitted By: aleeha