Doston se is qader sadme

Doston se is qader sadme uthaye jaan par
Dil se dushman ki adawat ka gilah jata raha
Doston se is qader sadme uthaye jaan par
Dil se dushman ki adawat ka gilah jata raha
Jo aala zarf hotay hain hamesha jhuk ke mlitay hain
Suraahi surangoon ho kar bhara karti hai pemana
Ae sanam jis ney tujhe chaand si soorat di hai
Isi allah ney mujh ko bhi mohabbat di hai
Uth Gayi Hain Samnay Se Kaisi Kaisi Soorten
Roiye Kis Ke Liye Kis Kis Ka Maatam Kijiyej
Aaj Tak Apni Jagah Dil Mein Nahi Apne Hui
Yaar Ke Dil Mein Bhala Pucho To Ghar Kyun Kar Karen
Ab Mulaqaat Hui Hai To Mulaqaat Rahay
Nah Mulaqaat Thi Jab Tak Ke Mulaqaat Nah Thi
Bayan Khawab Ki Terhan Jo Kar Raha Hai
Yeh Qissa Hai Jab Ka Keh Aatish Jawan Tha