Ham Se Kehte Hain Chaman Wale

Ham Se Kehte Hain Chaman Wale Ghareban Chaman
Tum Koi Acha Sa Rakh Lo Apne Verane Ka Naam
Ham Se Kehte Hain Chaman Wale Ghareban Chaman
Tum Koi Acha Sa Rakh Lo Apne Verane Ka Naam
Ham Aese Sada Dilon Ki Nayaz Mandi Se
Buton Ne Ki Hai Jahan Mein Khudayan Kya Kya
Ab Apna Ikhtiar Hai Chahy Jahan Chlain
Rehbar Se Apni Rah Juda Kar Chuke Hain Ham
Kab Thehray Ga Dard Ae Dil, Kab Raat Basar Ho Gi
Sunte Thay Wo Ayen Gay, Sunte Thay Sehar Ho Gi
Qarb K Na Wafa K Hote Hain
Sare Jagray Ana K Hote Hain
Baat Neyat Ki Hai Sirf Warna
Waqt Sare Dua K Hote Hain
Bhol Jate Hain Mat Bura Kehna
Log Putle Khata K Hote Hain
Wo Jo Bzahr Ache Nahi Lagte
Un Se Rishte Bla K Hote Hain
Wo Hmara Hai Is Tarah Se Faiz
Jese Bande Khuda K Hote Hain
Wo Aa Rahe Hain Wo Aate Hain Aa Rahe Hun Gey
Shab-e Firaq Ye Keh Kar Guzar Di Ham Ne
Awaz main thehrao tha ankhon main nami thi
Aur keh raha tha main ne sab kuch bhula dia