1911 - 1984
Kab Thehray Ga Dard Ae Dil, Kab Raat Basar Ho Gi Sunte Thay Wo Ayen Gay, Sunte Thay Sehar Ho Gi
Wo Aa Rahe Hain Wo Aate Hain Aa Rahe Hun Gey Shab-e Firaq Ye Keh Kar Guzar Di Ham Ne
Awaz main thehrao tha ankhon main nami thi Aur keh raha tha main ne sab kuch bhula dia
Tere Qol-o Qarar Se Pehle Apne Kuch Aur Bhi Sahare Thay
Dil Na Umeed Tu Nahi Nakaam Hi Tu Hai Lambi Hai Gham Hi Shaam Magar Shaam Hi Tu Hai
Na Jane Kis Liye Umeedwar Betha Hun Ik Aesi Rah Pe Jo Teri Rah Guzar Bhi Nahi
Shaam-e Firaq Ab Na Poch Ayi Aur Aa Ke Tal Gai Dil Tha Ke Phir Behal Gya Jan Thi Ke Phir Sambhal Gai
Uth Kar Tu Aa Gye Hain Teri Bazam Se Magar Kuch Dil Hi Janta Hai Keh Kis Dil Se Aye Hain
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain
Uth Kar Tu Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar Kuch Dil Hi Janta Hai Keh Kis Dil Se Aye Hain
Gar Bazi Ishq Ki Bazi Hai Jo Chao Laga Do Dar Kesa Gar Jeet Gye Tu Kya Kehne, Haare Bhi Tu Bazi Maat Nahi
Jurtay hoye dekha nahi totay hoye dil ko Gir jayen jo ansu to uthaye nahi jatay
Aur Kya Dekhne Ko Baqi Hai Aap Se Dil Laga Ke Dekh Lya
Aur Bhi Dukh Hain Zamane Mein Mohabat Ke Siwa Rahaten Aur Bhi Hain Wasal Ki Rahat Ke Siwa
Raat Yun Dil Mein Teri Khoyi Hui Yaad Ayi Jese Werane Mein Chupke Se Bahar Aa Jaye Jese Sehraon Mein Hole Se Chalay Bad-e Naseem Jese Beemar Ko Bewaja Qarar A Jaye
Aye Tu Yun Ke Hamesha They Meharban Bhole Tu Yun Ke Goya Kabi Aashna Na They
Qarz-e Nigah-e Yaar Ada Kar Chuke Hain Ham Sab Kuch Nisar Rah-e Wafa Kar Chuke Hain HamKuch Imtihan-e Dast-e Jafa Kar Chuke Hain Ham Kuch Un Ki Dastras Ka Pta Kar Chuke Hain Ham
Translated in English by Anjum Aziz AbbasFaiz Ahmad Faiz’s The Dawn of Freedom This murky dappled glow and smoky dawn ‘Tis not the same daybreak, we did wait
Aj Tanhai Kisi HamDam Derain Ki Tarah Karne Ayi Hai Mri Saqi Giri Sham DhaleMuntazir Bethe Hai Ham Dono Ke Mahtab Ubhray Aur Tra Aks Jalakne Lagy Har Saye Tale
Ayen Hath Uthayen Ham Bi Ham Jinhain Rasm-e Dua Yaad Nahi Ham Jinhain Soze Mohabat Ke Siwa Ham Jinhain But, Koi Khuda Yaad NahiAyen Arz Guzarain K Nigar Hasti Zuhr Amroz Mai Sherini Farda Bhar De Wo Jinhain Naab-e Giran Bari Iyam Nahi Un Ki Palkon Pe Shab o Roz Ko Halka Kar De
Showing 40 of 44