Chota Sa Ik Mazar

Yun Mere Sath Dafan Dil Be-Qarar Ho
Chota Sa Ik Mazar Ke Andar Mazar Ho
Dil Hi Tu Hai Na Aaye Kyun, Dam Hi Tu Hai Na Jaye Kyun
Ham Ko Khuda Jo Sabar De Tuj Se Haseen Bnaye Kyun
Wafa Krein Gey Nibahen Gey Baat Maane Gey
Tumhain Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalam Kis Ka Tha
Tumhara Dil Mere Dil Ke Brabar Ho Nahi Sakta
Wo Sheesha Ho Nahi Sakta Ye Pathar Ho Nahi Sakta
Sitam Hi Karna Jafa Hi Karna, Nigah-e Ulfat Kabi Na Karna
Tumhein Qasam Hai Hamare Sar Ki Hamare Haq Mein Kami Na Karna
Dil Kya Milao Gey Keh Hamain Ho Gya Yaqeen
Tum Se Tu Khak Mein Bhi Milaya Na Jaye Ga