1831 - 1905
Sitam Hi Karna Jafa Hi Karna, Nigah-e Ulfat Kabi Na Karna Tumhein Qasam Hai Hamare Sar Ki Hamare Haq Mein Kami Na Karna
Dil Kya Milao Gey Keh Hamain Ho Gya Yaqeen Tum Se Tu Khak Mein Bhi Milaya Na Jaye Ga
Daagh Aankhein Nikalte Hain Wo Un Ko De Do Nikal Kar Aankhein
Khoob Parda Hai Chilman Se Lage Bethe Hain Saaf Chupte Bi Nahi Samne Aate Bi Nahi
Baat Meri Kabi Suni Hi Nahi Jante Wo Buri Bhali Hi NahiDil Lagi Un Ki Dil Lagi Hi Nahi Ranj Bi Be Faqt Hansi Hi Nahi
Kia Zoq Hai Kia Shoq Hai So Martba Dekhon Phir Bi Ye Khon Jalwa Jana Nahi DekhaKia Pojte Ho Kon Hai Ye? Kis Ki Hai Shuhrat Kia Tum Ne Kabi Dagh Ka Dewan Nahi Dekha
Gilay Shikwe Kahan Tak Hon Gay, Aadhi Raat Tu Guzri Perishan Tum Bi Hote Ho, Perishan Ham Bi Hote HainKisi Ka Wa’ada Dedar Tu Ae Dagh Barhaq Hai Magar Ye Dekhiye Dil Shad Us Din Ham Bi Hote Hain
Bara Maza Ho Keh Mehshar Main Ham Karin Shikwa Wo Mintoon Se Kahain Chup Raho Khuda Ke Liye
Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha? Na Tha Raqeeb To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha?Wo Qatal Kar Ke Mujhe Har Kisi Se Poochte Hain Ye Kaam Kis Ka Hai? Ye Kaam Kis Ka Tha?Wafa Karein Ge, Nibhaen Ge, Baat Maanain Ge Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch, Ye Kalaam Kia Ka Tha?Raha Na Dil Mein Wo Be_Dard Aur Dard Raha Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha?
Showing 29 of 29