Talasm Khawab Se Mera

Talasm Khawab Se Mera Badan Pathar Nahi Hota
Meri Jab Aankh Khulti Hai Mein Bistar Par Nahi Hota
Read our latest collection of Abbas Tabish poetry. He is a well know Urdu poet popular in both India and Pakistan. Read ghazals, nazams and shayari of Abbas Tabish at SadPoetry.org
Talasm Khawab Se Mera Badan Pathar Nahi Hota
Meri Jab Aankh Khulti Hai Mein Bistar Par Nahi Hota
Tu Bhi Ae Shakhs Kahan Tak Mujhe Bardasht Karey
Bar Bar Aik Hi Chehra Nahi Dekha Jata
Ham Hai Sokhe Hoye Talab Pe Bethay Hoye Hans
Jo Taluq Nibahte Hoye Mar Jaate Hain
Bas Aik Mor Meri Zindagi Main Aya Tha
Phir Us Ke Baad Uljati Gayi Kahani Meri
Jhonke Ke Sath Chat Gayi Dastak Ke Sath Dar Gaya
Taza Hawa Ke Shoq Mein Mera Tu Sara Ghar Gaya
Teri Rooh Mein Sanata Hai Aur Meri Aawaz Mein Chup
Tu Apnay Andaaz Mein Chup Hai, Mein Apnay Andaaz Mein Chup
Faqat Maal-O Zar Dewaar-O Dar Acha Nahi Lagta
Jahan Bachy Nahi Hote Wo Ghar Acha Nahi Lagta