Ishq Abi Se Tanha Tanha

Ishq Abi Se Tanha Tanha
Hijar Ki Bhi Ayi Nahi Nobat
Sara hi shehar Us k Janazey me tha Shareek
Tanhaiyon k khauf se Jo shakhs mar gya
Submitted By: Suhail rahim
Mein Tanha Larki Dyar-E Shab Mein Jalon Sach Ke Diye Kahan Tak
Sayah Karon Ki Saltanat Mein Kis Tarah Aaftab Likhon
Udasi, Sham, Tanhai, Kasak Aur Yaadon K Be chaini
Muje Sab Sonp Kar Soraj Utar Jata Hai Pani Mai
Tanhiyon Ka Ik Alag Hi Maza Hai
Is Mai Dar Nahi Hota Kisi Ke Chor Jane Ka
Teri Khatir Ham Ik Shaam Churane Nikle
Dard Mai Dhal Ke Khud Ko Aazmane Nikle
Phir Inhi Tarsi Nazron Se Tmasha Dekha
Baat Itni Se Thi K Sab Zakhm Purane Nikle
Gham Ki Aaghosh Mai Khud Ko Smeta Aise
Raat Itni Hai Tu Phir Ham Sog Mnane Nikle
Wo Jo Nazron Mai Tlatam Tha Dekha Sab Ne
Raaz Jo Aankhon Se Ayan Thay Wo Chupane Nikle
Submitted By: Shabeeb Hashmi
Sanam Pochta Nahi Haal Mera
Jeena Hua Jata Hai Mahal Mera
Kabi Mere Bhi Din Badlen Gey
Kisi Din Usay Aye Ga Khayal Mera
Agar Us Ke Taghaful Ka Yehi Aalim Raha
Phir Tanha Guzre Ga Naya Saal Mera
Ab Tu Usay Milne Ki Hajat Nahi Rahi
Us Ki Judai Ban Gyi Hai Wisal Mera
Submitted By: M. Asghar Mirpuri
Mujhe apnana hai to apna meri kamzorio ke sath
Ya mujhe chor de meri tanhaiyon ke sath