Eid ke din bhi tanha hoon

Eid ke din bhi tanha hoon
Main phir bhi jee rah hoon

Teri Eid khushion bhri ho
Rab se karta yeh dua hoon

Ashkon ka sagar jo pee gya
Main aik aisa daya hoon

Muje iss baat ka ghum hai
Eid ke din tum se juda hoon

Tum se gila hai na shikayat
Apne muqadar se khfa hoon

Tum Eid Manao Saj Dhaj Ke

Tum Eid Manao Saj Dhaj Ke
Me Jese Hon Wesa Hee Sahi
Jiss Haal Main Hon Main Jesa Hon
Na Poch Sanam Ab Kesa Hon

Tum Dill Ka Lagana Kia Jano
Tum Ashk Bahana Kia Jano
Tum Nazuk Phool Ho Gullshan Ke
Tum Aag Mein Jalna Kia Jano
Ye Umar He Tere Hansne Ki
Nahein Ishq Mein Aahein Bharne Ki
Meri Qismat Mein Hy Dard Sanam
Sab Seh Longa Taqdir Ke Gham

Majbor Milay Jo Ulfat Main
Sar Aankhon Par Ye Saary Sitam
Jab RUB Ko Hy Manzor Yahi
Tou BISMILLAH Aesa Hee Sahi
Tm eid manao saj Dhaj k
Me Jese Hon Wese Hee Sahi

Submitted By: Irfan niz