Rasta Bi Nahi Badla

Kashti Bi Nahi Badli Darya Bi Nahi Badla
Aur Dobne Walon Ka Jazba Bi Nahi Badla
Hai Shoq-e Safr Aesa Ik Arse Se Yaro
Manzal Bi Nahi Pai Rasta Bi Nahi Badla
Kashti Bi Nahi Badli Darya Bi Nahi Badla
Aur Dobne Walon Ka Jazba Bi Nahi Badla
Hai Shoq-e Safr Aesa Ik Arse Se Yaro
Manzal Bi Nahi Pai Rasta Bi Nahi Badla
Bichar Gye To Phir Milne K Aas Kia Rakhen
Murjaye Hoye Phol Khilne K Aas Kia Rakhen
Lgaye Hain Jo Khud Apne Hath Se Anjum
Un Zakhmon K Khilne Ki Aas Kia Rakhein
Submitted By: Anjum Aziz Abbas
Wo Khushi Tha Umeed Tha Ik Ihsaas Tha
Ba’ad Mein Ye Guman Hoa Bas Pal Do Pal Ka Sath Tha
Rehta Hai Aaj Bi Intizaar Is Aankh Ko Kisi Apne Ka
Wo Ja Ka Aaj Bi Sath Hai Jo Kabi Hamary Pass Tha
Subah Sham Falasteen (Palestine) Mein Khon Behta Hai
Saya-E Marg Mein Kab Se Insan Rehta Hai
Band Karo Ye Baroodi Ghuna Gardi
Bad Ye Ab Tu Aik Zamana Kehta Hai
Un Ke Bare Mai Hai Up to Date Apni Aagahi
Kon Se Thay Jin Ke Ham Zakhm Judai Seh Gye
Shukar Hai Niswar Ki Dabya Pe Aeina Bi Hai
Dekh Lete Hain Ke Kitne Dant Baqi Reh Gye
Jaan Ki Bheek Mangne Ki Liye Bi
Kabi Hath Ham Ne Phelia Hi Nahi
Anjum Muj Ko Mere Waa’z Ne
Sisak Kar Jena Sikhaya Hi Nahi
Submitted By: Anjum Aziz Abbas
Aaj Bi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha
Chehra Wohi Tha Chehra Ka Libas Wohi Tha
Kese Us Ko Bewafa Keh Doon Yaro
Aaj Be Us Ke Dekhne Ka Andaaz Wohi Tha
Khud-darion Ke Khon Ko Arzan Na Kar Sake
Ham Apne Johron Ko Nmyan Na Kar Sake
Kis Darja Dil Shakan They Mohabat Ke Haadse
Ham Zindagi Mein Phir Koi Arman Na Kar Sake