2205 poems
Isi Khandar Mein Kahin Kuch Diye Hain Tote Hoye Inhein Se Kam Chalao Bari Udas Hai Raat
Mein dil pay jabar karoon ga tujhy bhala dun ga Maroon ga khud bhi thuje bhi kari saza dun gaYeh tayragi maray ghar ka hi kyun muqaddar ho Mein tairay shehar ke saaray diye bujha dun ga
Dhondta phirta hon aey Iqbal apny aap ko Aap ki goya musafir, aap hi manzil hon main
Raste ka intikhab zurori sa ho gaya Ab ekhtataam baab zurori sa ho gayaHum chup rahay to aur bhi ilzaam aaye ga Ab kuch nah kuch jawab zurori sa ho gaya
Jankani main mareez hasti hai Mangta hai dawa zamany se Chara sazon sunehri moqa Zehar de do isi bahany se
Khak ko khak le uri sayam Takubar reh gya wehain ka wehain
Chaba Lain Kun Na Khud Hi Apna Dhancha Tumhain Ratab Muhaya Kyun Krein Ham
Aya Hi Tha Abi Mere Lab Pe Wafa Ka Naam Kuch Doston Ne Hath Mein Pathar Uta Liye
Na janay kon sa aasaib dil main basta hai Keh jo bhi thehra wo aakhir makan chor gaya
Bey noor si lagti hai us se bichar kar zindagi Zaid ab chirgh to jalty hain magar ujala nahi karty
Mere kano ko dastak ki zaroorat nahi parti Mujhy ishq uthata hai azaan se pehly
Bholi hui sada hon mujhe yaad kijiye Tum se kahin mila hon mujhe yaad kijiyeManzil nahi hon khizr nahi rahzan nahi Manzil ka rasta hon mujhe yaad kijiye
Le De Key Apne Pass Faqt Aik Nazar Tu Hai Kun Dekhen Zindagi Ko Kisi Ki Nazar Se Ham
Mat Poch Ke Kis Tarah Se Chal Rahi Hai Zindagi Us Dor Se Guzar Rahe Hain Jo Guzarta Hi Nahi
Bohat haseen sahi teri aqidaton ke ghulaab Hussain tar hai magar har gul-e khayaal tra Hum aik dard ke rishte mein munsalik dono Tujhay aziz mra fun, mujhe jamal tra
Kabi Sehar Tu Kabi Shaam Le Gya Muj Se Tumhara Dard Kyi Kaam Le Gya Muj Se
Us Se Milna Tu Usay Eid Mubarak Kehna Ye Bhi Kehna Ke Meri Eid Mubarak Kar De
Yahan mazdoor ko marne ki jaldi kuch yun bhi hai mohsin Keh zindagi ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaye
Woh to khusboo hai, hawaon mein bikhar jaye ga Masla phool ka hai, phool kidhar jaye gaHum to samjhay they ke ik zakham hai, bhar jaye ga Kya khabar thi ke rag e jaan mein utar jaye ga
Dekha kitab e ishq ke awraaq khol kar Awal bhi tera naam tha, aakhir bhi tera naam
Showing 468 of 2193