Raste ka intikhab zurori sa ho gaya

aitbar sajid ghazal poetry

Raste ka intikhab zurori sa ho gaya
Ab ekhtataam baab zurori sa ho gaya

Hum chup rahay to aur bhi ilzaam aaye ga
Ab kuch nah kuch jawab zurori sa ho gaya

Hum talte rahay ke yeh nobat nah anay paye
Phir hijar ka azaab zurori sa ho gaya

Har shaam jald sonay ki aadat hi par gayi
Har raat aik khawab zurori sa ho gaya

Aahoun se toot-ta nahi yeh gunbad siyah
Ab sang aftaab zurori sa ho gaya

Dena hai imthehaan tumharay faraaq ka
Ab sabr ka nisaab zurori sa ho gaya

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments