2205 poems
Aflaas ki basti main jaa kar tu dekho Wahan bachy to hoty hain magar bachpan nahi hota
Kabhi rait ke onchay teelon pay jana Gharonday banana, bana ke mitanaWoh masoom chahat ki tasweer apni Woh khowaboon khilonon ki jageer apni
Ab tak to dil ka dil se taruf na ho saka Mana ke us se milna milana bohat hoa Kia kia na ham kharab hoye hain magar ye dil Aey yaad-e yaar tera thekana bohat hoa
Nit naye iraadon main itna ghafil hon ke Waqt e qaza bhi qaza hony ko hai
Dua to janay kon si thi Zehan main nahiBas itna yaad hai Ke do hathelian mili hoyi thi
Aaj wo parh liya gya jis ko parha na jaa saka Aaj ksi kitab main kuch bhi likha hoa nahi
Maa ki dua nahi baap ki shafqat ka saya nahi Mere muqaddar mein maa baap ka pyar to aaya nahiMere haal se kisi ko hai nah koi bhi vaastaa Mujhe to muddaton se kisi ney beta ke kar bulaya nahi
Yeh Barson Ka Taaluq Toar Dena Chahtay Hain Ham Ab Apne Aap Ko Bhi Chore Dena Chahtay Hain Ham
Do ghoont mohabbat pi thi abhi Ke qaatil sir par aa pounchaAankhon se is naay pilayi thi Honton se zara si chakhi thi
Jin raaton main hoti hai qabool dua Wo ro kar mujh ko hi mangta ho ga
Meri tareef karay ya mujhy badnaam karay Jis ne jo baat bhi karni hai sar-e aam karay
Yeh theek hai ke bohat wahishten bhi theek nahi Magar hamari zara aadaten bhi theek nahiAgar milo to khulay dil ke sath hum se milo Ke rasmi rasmi si yeh chahtein bhi theek nahi
Main faqeeron se bhi krta hon tijarat aksar Jo aik pese main lakhon ki dua dete hain
Na janay kab koi aashob tum ko aa geray Ajeeb waqt hai dast-e dua daraz rakho
Mil gaya sab kuch jahan mein tumhain panay ke baad Kya, kuch aur baqi hai sochta hon tumhain panay ke baadYeh kis neki ka sila hai, rab ki ataa hai mujh par Ke likh diya meri qismat mein tumhe bananay ke baad
Ab jo rishton main bandha hon to khula hai mujh par Kab parind ur nahi patay paron ke hotay
To chahta hai main tera wafa daar banon Mein kyonkr ishhq kar ke tera azadar banonKya mein bhi –apne dil ko dao par laga dun Kya mein bhi anjuman ishhq ka raza kar banon
Janay kis raah se aa jaye wo aane wala Main ne har simat se deewar gira rakhi hai
Ae kash kabhi woh waqt aeye Mein daur kahin kho jaoonWoh dhoonday mujh ko nagar nagar Mein phir nah kabhi usay mil paon
Tanqeed mein kabhi bigra hoya, to kabhi nakara kaha gaya mujhe Maa bas ik tairay pyar ka sahara sanwaar gaya mujheMaa ke ahsaan hain kitney mujh par bayan kaisay karoon Is ko dekhnay hi se sawab hajj nawaza gaya mujhe
Showing 488 of 2193