2206 poems
Mein jin ko baat karna ae mashafi sikhaya Har baat mein woh meri ab baat kaatetay hain
Gham ki kis shakal mein tashkeel hui jati hai Aadmiyyat ki bhi tazleel hui jati haiHar qadam zeist chankti hai chanaka ban kar Jiss terhan kanch mein tabdeel hui jati hai
Jitni bhi zamane se mujhy daad mili hai Mera imaan hai k sab baa-es ustaad mili hai
Shaam bhi thi dhuwan dhuwan husn bhi tha udaas udaas Dil ko kayi kahaniyan yaad si aa ke reh gayeen
Kar raha tha gham jahan ka hisaab Aaj tum yaad be hisaab aaye
Yahan libaas ki qeemat hai aadmi ki nahi Mujhe glass baray day sharaab kam kar day
Honton pay kabhi un ke mra naam hi aaye Aaye to sahi barsar e ilzaam hi aayeHeran hain lab basta hain dilgeer hain ghunche Khushbu ki zabani tra pegham hi aaye
Kab hum ne kaha tum se mohabbat hai, nahi to Dil hijr se amaada wehshat hai, nahi toBaatein to bohat karte hain hum kood uchhal kar Iss ehad mein mazdoor ki izzat hai, nahi to
Dekha hai jo ik mein ne wohi khawab bohat hai Warna to wafa dostoo! Kamyaab bohat haiYeh dil ki zamee banjar o weraan pari thi Thori si hui tujh se jo sairaab bohat hai
Ham safar chahye hajoom nahi Ik musafir bhi qafla hai mujhy
Jab Bhi Walid Ki Jafa Yaad Ayi Apny Dada Ki Khata Yaad AyiJis Ne Dhoya Sar-e Mehfil Mujh Ko Usi Dhoban Ki Ada Yaad Ayi
Pakrey jatay hain farishton ke likhy par na-haq Aadmi koi hamara dam-e tehreer bhi tha
Kal chodwhein ki raat thi, shab bhar raha charcha tera Kuch ne kaha ye chaand hai, kuch ne kaha chehra tera
Aashiqui se milay ga aey Zahid Bandagi se khuda nahi milta
Kab wo zahar ho ga aur heran kar de ga mujhe Jitni bhi mushkil mein hun aasan kar de ga mujh
Badlay hue halaat se dar jata hon aksar Sheeraza millat hon, bikhar jata hon aksarMein aisa safena hon ke saahil ki sada par Tufaan ke seenay mein utar jata hon aksar
Aankh rakhtay ho to is aankh ki tehreer parho Munh se iqraar nah karna to hai aadat is ki
Tujhe dushmanon ki khabar nah thi mujhe doston ka pata nahi Tri dastan koi aur thi mra waqea koi aur hai
Jis ehad mein lut jaye faqeero ki kamaai Us ehad ke sultan se kuch bhool hui hai
Koshish bhi kar umeed bhi rakh rasta bhi chunn Phir is ke baad thora muqaddar talaash kar
Showing 288 of 2194