Shaam bhi ho jaye gi yeh, dil nashen aaye ga woh
Aarzoyeen ho rahi hain jagzin aaye ga woh
Pehlay bhi wadon se –apne kab kiya hai inhiraf
Ab wachan jo day diya to bil-yaqeen aaye ga woh
Mُrh gaya tha mourr jo pehlay kabhi ik mourr par
Aakhrish thak haar kar mُrh kar wahein aaye ga woh
Maanta hon aik muddat se rahi too pyaas mein
Ab nhِin rona hai chashm-e aabgi, aaye ga woh
Ab to rakhna hi parre ga tujh pay pathar mere dil
Kab talak jhooti tasalli dun, ( nhِin aaye ga woh )
Gulsitan dil ke saaray rang o gul jiss par nisar
Woh rukh e taban , rukh e gُl aatsheen aaye ga woh
Ja hai jiss ki jo wahan ko khech hi le gi rasheed
Thokrain kha kar, jahan ka hai wahein aaye ga woh