The nazm
Read it in Urdu script-
Shor Yun Hi Nah Parindon Ney Machaya Hoga Koi Jungle Ki Taraf Shehar Se Aaya Hoga
-
Pairr Ke Kaatnay Walon Ko Yeh Maloom To Tha Jism Jal Jayen Ge Jab Sir Pay Nah Saya Hoga
-
Bani E Jashnn Bahaaraan Ne Yeh Socha Bhi Nahi Kis Ney Kaanton Ko Laho Apna Pilaya Hoga
-
Bijli Ke Taar Pay Betha Sun-hwa Hanstaa Panchhi Sochta Hai Ke Woh Jungle To Paraya Hoga
-
Apne Jungle Se Jo Ghabra Ke Uray They Pyase Har Saraab Un Ko Samandar Nazar Aaya Hoga
Submitted by iqbal designs


