Saari Zindagi Maa Ke Naam Karta Hon
Mein Khud Ko Maa Ka Ghulam Karta Hon
Jinhon Naay Ki Zindagi Aulaad Pay Nisar
Jo Hain Maaen Un Ko Salaam Karta Hon
Jahan Daikhta Hon Lafz Maa Likha Huwa
Choomta Hon Is Ka Ehtram Karta Hon
Meri Zuban Ko Mil Jati Hai Mithaas
Jab Bhi Maa Se Kalaam Karta Hon
Saari Zindagi Maa Ke Naam Karta Hon
