Skip to content
SadPoetry
EN
Saari Zindagi Maa Ke Naam Karta Hon

Saari Zindagi Maa Ke Naam Karta Hon

4 couplets
  1. Saari Zindagi Maa Ke Naam Karta Hon Mein Khud Ko Maa Ka Ghulam Karta Hon

  2. Jinhon Naay Ki Zindagi Aulaad Pay Nisar Jo Hain Maaen Un Ko Salaam Karta Hon

  3. Jahan Daikhta Hon Lafz Maa Likha Huwa Choomta Hon Is Ka Ehtram Karta Hon

  4. Meri Zuban Ko Mil Jati Hai Mithaas Jab Bhi Maa Se Kalaam Karta Hon

Submitted by iqbal designs

Report a mistake

More Mother's Day

See all