Hazaar Khauf Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq

allama iqbal urdu ghazal

Hazaar Khauf Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq
Yahi Raha Hai Azal Se Qalandron Ka Tareeq

Hajhoom Kyun Hai Ziyada Sharaab Khanaay Mein
Faqat Yeh Baat Ke Peer Maghaan Hai Mard Khaleeq

Ilaaj Zauf Yaqeen Un Se Ho Nahi Sakta
Ghareeb Agarchay Hain Raazi Ke Nuqta Haye Daqeeq

Mureed Saada To Ro Ro Ke Ho Gaya Taib
Khuda Keray Ke Miley Sheikh Ko Bhi Yeh Tofeeq

Isi Tilsam Kehan Mein Aseer Hai Aadam
Baghal Mein Is Ki Hain Ab Taq Bataan Ehad Ateeq

Maray Liye To Hai Iqraar Bil-lisaan Bhi Bohat
Hazaar Shukar Ke Mila Hain Sahib Tasdeeq

Agar Ho Ishhq To Hai Kufar Bhi Musalmani
Nah Ho To Mard Musalmaan Bhi Kafir O Zandeeq

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments