Anokhi Waza Hai Saaray Zamane Se Nirale Hain
Yeh Aashiq Kon Si Bastii Ke Yarab Rehne Walay Hain
Ilaaj Dard Mein Bhi Dard Ki Lazzat Pay Mrta Hon
Jo They Chhaalon Mein Kantay Noke Sozen Se Nikalay Hain
Phula Phoola Rahay Yarab Chaman Meri Umedon Ka
Jigar Ka Khoon Day Day Kar Yeh Botay Mein Ne Paley Hain
Rulati Hai Mujhe Raton Ko Khamoshi Sitaron Ki
Nirala Ishhq Hai Mera Nirale Mere Naalay Hain
Nah Pucho Mujh Se Lazzat Khanman Barbaad Rehne Ki
Nashiman Secron Mein Ne Bana Kar Phoonk Daaley Hain
Nahi Beygangi Achi Rafeeq Raah Manzil Se
Thehr Ja Ae Sharer Hum Bhi To Aakhir Mitne Walay Hain
Umeed Hoor Ne Sab Kuch Sikha Rakha Hai Waiz Ko
Yeh Hazrat Dekhnay Mein Seedhay Sadhe Bhoolay Bhaale Hain
Maray Ashaar Ae Iqbal Kyun Pyare Nah Hon Mujh Ko
Maray Tootay Hue Dil Ke Yeh Drdangiz Naalay Hain