Aik dafa mere qadam se qadam

Aik dafa mere qadam se qadam mila ka chalo
Tum zara do ghari sath tu nibha ke chalo
Mana safar kathan aur rasta bohat dushwaar hai
Hath tham lo, mujh py yaqeen bna ke chalo
Raks-e- qalam jari ha

Aankhein noch li gyi, zuban kaat le gyi
Par ab bhi mere hathon main raks-e qalam jari hai
Zindagi Apne Sabaq

Ye Maktab Ka Parha Sab Hi Bhula Deti Hai
Zindagi Apne Sabaq Khud Hi Sakha Deti Hai
Ahl-e Sukhn Nahi Hota

Har Koi Mir o Ghalib Sa Ahl-e Sukhn Nahi Hota
Qudrat Ne Har Kisi Main Tu Shayar Nahi Rakhan
Wo Allah Pey Yaqeen Hai

Wo Allah Pey Yaqeen Hai Jo Us Ko Juda Sa Lagta Hai
Warna Darya Ko To Har Skahks Mosa Sa Lagta Hai
Wo Awaz To Dete Hain

Wo Mujh Ko Awaz To Dete Hain, Pukara Nahi Karte
Kehty To Sab Hi Kuch Hain, Magar Kuch Kaha Nahi Karte
Mohabbat Na Sahi Dushmani

Mohabbat Na Sahi Dushmani Nibah Ke Dekhty Hain
Aap Ka Ye Rang Bhi Aazma Ke Dekhty Hain