Wo Jin Ki Aankhon Mein

Wo Jin Ki Aankhon Mein Dekhne Ko Sab Hi Kuch Ho
Un Ke Chehray Ko Dekhny Ki Talab Kun Karon Main
Gar Jismon Ki Bhook

Gar Jismon Ki Bhook Mitaane Ka Naam Hi Mohabat Hai
Tu Phir Is Tarz-e Mohabbat Se Main Be-zaar Sahi
Mana Ke Raat Bohat Ho Chuki

Mana Ke Raat Bohat Ho Chuki Sone Ka Waqt Hai
Par Kya Karon, Qalam Se Utarne Ke Khayalat Baqi Hain
Mera Dess Aik Aesi Basti Hai

Mera Dess Aik Aesi Basti Hai
Jahan Mazhab Ke Naam Pe Sar Kat’te Hain
Jahan Mazhab Ki Khatir
Naam Ke Muslam Lar Marte Hain
Jahan Mulla, Mufti, Qati, Sab Hi
Deen Ke Thekedaar Bohat Hain
Isi Liye
Yahan Firqay Be Shumaar Bohat Hain
Khirad Pasti Mein Rehne Ki

Khirad Pasti Mein Rehne Ki Aadat Daal Lo
Ab Tere Hath Se Horon Ki Wo Basti Gayi
Aadhay To Hain Dushman Tere

Aadhay To Hain Dushman Tere, Aur Aadhay Mere Raqeeb Hain
Kuch Hosla Dey Waqat Mujhy Keh Samjhny Ko Ye Qissa Ajeeb Hai
Dil Yeh Guneh-gaar Sahi

Aankh Ashkbaar Sahi, Dil Yeh Guneh-gaar Sahi
Bandah To Tera Hon, Bandah Yeh Khata-kaar Sahi
Dono Hi Jaanty Hain

Dono Hi Jaante Hain Aur Dono Ko Pata Hai Lekin
Aik Kehny Se Garaizaan Or Aik Ko Izhaar Se Dar Lagta Hai