Chalay jo mukhalif koi
Chalay jo mukhalif koi mere hamrah
To ahbaab mere kahin mujh ko shatah
Suno mere ahbaab ik baat meri
Munasib hai mil kar chalein jab ho yak-rah
Yeh tana zani tum jo karte ho mujh par
Tumahray liye kab bana hon mein sarwah Continue reading “Chalay jo mukhalif koi”
Uthaye hain kya kya sitam raat bhar mein

Uthaye hain kya kya sitam raat bhar mein
Diye jal rahay hain umeed-e sehar mein
Bohat se kathan rastay hain magar tum
Charaghoon ko bujhnay nah dena nagar mein
Batati hai be chain palkon ki uljan
Dareechay khulay hi rahay raat bhar mein Continue reading “Uthaye hain kya kya sitam raat bhar mein”
Aaya hai to ruk bhi ja

Aaya hai to ruk bhi ja, jaan-e jigar baat kar
Aa ab sukhan aazma, ab raat bhar baat kar
Ik raat ki baat hai, barsaat ki raat hai
Daikhon tri reh guzar, to hai kidhar baat kar
To kyun hai mujh se khafa, yeh raah hai kyun judda
Tairay liye hi hua mein dar badar baat kar Continue reading “Aaya hai to ruk bhi ja”
Hamein be feham jahan walay

Hamein be feham jahan walay shah kehte hain
Hamaray paas hai kya khwamkhwa kehte hain
Zara se log to aalam panah kehte hain
Kabhi kabhi nahi kehte wagerna kehte hain
Barray ajab hain marey shehar ke sukhan parwar
Meri har aik hamaqat pay wah kehte hain Continue reading “Hamein be feham jahan walay”