Yeh samajh ke mana hai sach

Yeh samajh ke mana hai sach tumhari baton ko
Itnay khobsorat lab jhoot kaisay bolein ge
Yeh samajh ke mana hai sach tumhari baton ko
Itnay khobsorat lab jhoot kaisay bolein ge
Tumhari arzoo mein main ne apni arzoo ki thi
Khud apni justojoo ka aap haasil ho gaya hon mein
Waqya kuch bhi ho sach kehnay mein ruswai hai
Kyun na khamosh rahon ahal-e nazar kehlaon
Ab to insaan ki azmat bhi koi cheez nahi
Log pathar ko kkhuda maan liya karte thay
Aankh rakhtay ho to is aankh ki tehreer parho
Munh se iqraar nah karna to hai aadat is ki
Chorney mein nahi jata usay darwazay tak
Lout aata hon ke ab kon usay jata dekhe
Jawaz Koi Agar Meri Bandagi Ka Nahi
Main Pochta Hun Tujhe Kia Mila Khuda Ho Kar