Mein ne jo likh diya woh khud
					
		Mein ne jo likh diya woh khud hai gawahi apni
Jo nahi likha abhi us ki basharat dun ga
					
		Mein ne jo likh diya woh khud hai gawahi apni
Jo nahi likha abhi us ki basharat dun ga
					
		Meri roshni tre khad o khhaal se mukhtalif to nahi magar
To qareeb aa tujhe dekh lon to wohi hai ya koi aur hai
					
		Ajnabi heran mat hona ke dar khulta nahi
Jo yahan abad hain un par bhi ghar khulta nahi
					
		Dekhte kuch hain dikhaty hamein kuch hain ke yahan
Koi rishta hi nahi khawab ka tabeer ke sath
					
		Yaad ka zakham bhi hum tujh ko nahi day satke
Dekh kis aalam gurbat mein miley hain tujh se
					
		Ab jo lehar hai pal bhar baad nahi hogi yani
Ik darya mein doosri baar itra nahi ja sakta
					
		Tujhe dushmanon ki khabar nah thi mujhe doston ka pata nahi
Tri dastan koi aur thi mra waqea koi aur hai
					
		Raat ko raat hi is baar kaha hai hum ne
Hum ne is baar bhi tauheen e adalat nahi ki