Har ghari khud se ulajhna

Har ghari khud se ulajhna hai muqaddar mera
Mein hi kashti hon mujhi mein hai samandar mera
Har ghari khud se ulajhna hai muqaddar mera
Mein hi kashti hon mujhi mein hai samandar mera
Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo
Sabhi hain bheer mein tum bhi nikal sako to chalo
Us ko rukhsat to kya tha mujhe maloom nah tha
Sara ghar le gaya ghar chore ke jane wala
Hum labon se keh nah paye un se haal dil kabhi
Aur woh samjhay nahi yeh khamshi kya cheez hai
Koshish bhi kar umeed bhi rakh rasta bhi chunn
Phir is ke baad thora muqaddar talaash kar
Yahan kisi ko koi rasta nahi deta
Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
Is Ke Dushman Hain Bohat Aadmi Acha Hoga
Woh Bhi Meri Hi Terhan Shehar Mein Tanha Hoga