Matti Ka Badan Kar Diya

Matti Ka Badan Kar Diya Matti Ke Hawalay
Matti Ko Kahin Taaj Mehal Mein Nahi Rakha
Matti Ka Badan Kar Diya Matti Ke Hawalay
Matti Ko Kahin Taaj Mehal Mein Nahi Rakha
Bachon Ki Fee Un Ki Kitaaben Qalam Dawaat
Meri Ghareeb Aankhon Mein School Chubh Gaya
Dolat Se Mohabbat To Nahi Thi Mujhe Lekin
Bachon Ne Khilonon Ki Taraf Dekh Liya Tha
Mein Duniya Ke Miyaar Pay Pura Nahi Utra
Duniya Mere Miyaar Pay Puri Nahi Utri
Tumhare Shehr Mein Mayat Ko Sab Kandha Nahi Dete
Hamare Gaon Mein Chapar Bhi Sab Mil Kar Uthate Hain
Phir Karbala Ke Baad Dikhai Nahi Diya
Aesa Koi Bhi Shakhs Keh Payasa Kahen Jisay
Khalono Ke Liye Bachy Abhi Tak Jagte Hon Gey
Tujhey Ae Muflasi Koi Bahana Dhond Lena Hai
Jab Bhi Kashti Meri Selaab Mein Aa Jati Hai
Maa Dua Karti Hui Khwab Mein A Jati Hai