Na gharz kisi se na wasta

Na gharz kisi se na wasta, mujhe kam apne hi kam se
Tere zikar se teri fikar se teri yaad se teri naam se
Read our collection of Jigar Moradabadi Poetry and ghazlas. Read, submit and share our great collection of shayari. We regularly update our poetry collection.
Jigar Moradabadi was one of the greatest ghazal writers of the 20th century.
Na gharz kisi se na wasta, mujhe kam apne hi kam se
Tere zikar se teri fikar se teri yaad se teri naam se
Ya wo thay khafa ham se ya ham hain khafa un se
Kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
Tujhe bhol jana tu mumkin nahi hai
Magar bhol jane ko ji chahta hai
Sab Ko Ham Bhol Gaye Josh-E Junoon Mein Lekin
Ik Teri Yaad Thi Aesi Jo Bhulai Na Gayi
Mujhe de rahe hain taslliyan wo har aik taza pegham se
Kabi aa ke manzir-e aam par kabi hat ke manzir-e aam se
Aankhon mein nami si hai chup chup se bethay hain
Nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai
Aaghaz Mohabat Ka Injam Bas Itna Hai
Jab Dil Mein Tamna Thi Ab Dil Hi Tamana Hai
Jo Un Pe Guzarti Hai Kis Ne Usay Jana Hai
Apni Hi Musebat Hai Apna Hi Fasana Hai