Mohabbaton Mein Dikhavay Ki Dosti

Mohabbaton Mein Dikhavay Ki Dosti Nah Mila
Agar Gilaay Nahi Milta To Haath Bhi Nah Mila
Mohabbaton Mein Dikhavay Ki Dosti Nah Mila
Agar Gilaay Nahi Milta To Haath Bhi Nah Mila
Log Toot Jatay Hain Aik Ghar Bananay Mein
Tum Taras Nahi Khatay Bastiyan Jalanay Mein
Mujh Se Kya Baat Likhaani Hai Ke Ab Mere Liye
Kabhi Sonay Kabhi Chandi Ke Qalam Atay Hain
Kabhi Kabhi Tu Chalak Parti Hai Yun Hi Aankhen
Udas Hone Ka Koi Sabab Nahi Hota
Koi Haath Bhi Nah Milaye Ga Jo Galay Milo Ge Tapaak Se
Yeh Naye Mizaaj Ka Shehar Hai Zara Faaslay Se Mila Karo
Gharon Pe Naam Thay Naamon Ke Sath Uhday Thay
Bohat Talash Kya Koi Aadmi Na Mila