133 poems · 32 poets
Malboos Khush Numa Hain Mgar Jisam Khokly Chilkay Sajay Hon Jese Phalon Ki Dukan Par
Bachon Ki Fee Un Ki Kitaaben Qalam Dawaat Meri Ghareeb Aankhon Mein School Chubh Gaya
Mere dast_e daman main ye jo chand khushiyan hain Yebhi mujh ko parai si lagti hainDekhun agar in gamon ko To ye bhi kisi ke diye lagte hain
Lehrain Maar Jati Hai Thokar Aa Kar Tujhe Ae Sahil Kabhi Tu Bhi Kinare Se Kinara Kar Le
Har Ik Mosam Mai Wo Andaz Badalta Hoa Nazar Aye Khazan Ho Ya Barsat Wo Machlta Hoa Nazar AyePathar Ka Jo Banta Tha Wo Skahks Ab Ham Ko Halki Se Ik Chot Pe Pigalta Hoya Nazar Aye
Ghar Pohnchta Hai Koi Aur Hamare Jesa Ham Tere Shehr Se Jaate Hoye Mar Jaate Hain
Kisi Aur Ko Mere Haal Se Na Gharz Hai Koi Na Waasta Main Bikhar Gaya Hun Sameet Lo Main Bigar Gaya Hun Sanwaar Do
Main Apni Zaat Main Neelam Ho Raha Hoon Qateel Gham-e Hayat Se Keh Do Khreed Laye Muje
Main Aane Wale Zamano Se Dar Raha Hun Faraz Ke Main Ne Dekhi Hain Aankhen Udas Logo Ki
bad-guman to na ho ay humnawa fasloun ka ehatmam to na krkuch ehsas mere naam kar meri batoun ko na samjh harf-e-akhirmain majboor sahi, lachar houn akhir
Hadod Waqt Se Bahir Ajab Hisaar Mein Hun Main Ik Lamha Hun Sadyon Ke Intezaar Mein Hun
Ik Naqsh Ho Na Paye Idhar Se Udhar Mera Jaisa Tumhein Mila Tha Main Waisa Juda Karo
Shayad Muje Kisi Se Mohabat Nahi Hui Lekin Yaqeen Sab Ko Dilata Raha Hun Mein
Bila Ki Chamak Us Ke Chehray Pe Thi Mujhay Kya Khabar Thi Ke Mar Jaye Ga
Kitabon Ki Tarah Hai Wo Bhi Alfaz Se Bharpur Magar Khamosh
Aadat Hi Bna Li Hai Tum Ne Tu Munir Apni Jis Shehr Mein Rehna Uktaye Hoye Rehna
Ab Tere Zikar Pe Ham Baat Badal Dete Hain Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle Pehle
Wo Raatain Chand Ke Sath Gayen Wo Batain Chand Ke Sath Gayen Ab Sukh Ke Sapne Kya Dekhein Jab Dukh Ka Suraj Sar Par Ho
Khayal Jis Ka Tha Muje Khayal Mein Mila Muje Sawal Ka Jawab Bhi Sawal Mein Mila Muje
Mein Pa Na Saka Kabi Is Khalsh Se Chutkara Wo Muj Se Jeet Bi Sakta Tha Jane Kun HaraBaras Ke Khul Gaye Aansu Nithar Gayi Hai Faza Chamak Raha Hai Sar-e Sham Dard Ka Tara
Showing 80 of 133