133 poems · 32 poets
Wo Shehr Mein Tha Tu Us Ke Liye Auron Se Bhi Milna Parta Tha Ab Aese Wese Logo Ke Mein Naaz Uthaon Kis Ke Liye
Raat Tu Waqt Ki Paband Hai Dhal Jaye Gi Dekhna Ye Hai Chiraghon Ka Safar Kitna Hai
Darta Hun Pagal Hi Na Kar Dalain Raat, Sumandar, Chand, Safar Aur Ye Khamoshi
Bas Panchi Urne ke Qabil Ho Jayen Mangi Hai Itni Si Muhlat Pairon Ne'Pairon' = Trees
Dabo Di Thi Jahan Tufan Ne Kashti Wahan Sab Thay Khuda Kya Na Khuda Kya
Khwahishen Ghar Se Bahar Dor Jaane Ki Bohat Shoq Lekin Dil Mein Wapis Lot Aane Ka Tha
Us Na Khuda Ke Zulm-o Sitam Haye Kiya Karon Kashti Meri Daboyi Hai Sahal Ke Aas Paas
Aankhon Ka Tha Qasur Na Dil Ka Qasur Tha Aya Jo Mere Samne Mera Ghuror Tha
Awaz main thehrao tha ankhon main nami thi Aur keh raha tha main ne sab kuch bhula dia
Nahi Nahi Ye Khabar Dushmano Ne Di Ho Gi Wo Aye Aa Ke Chale Bhi Gaye Milay Bhi Nahi
Tere Qol-o Qarar Se Pehle Apne Kuch Aur Bhi Sahare Thay
Yun Mere Sath Dafan Dil Be-Qarar Ho Chota Sa Ik Mazar Ke Andar Mazar Ho
Bhari Dunya Mein Ji Nahi Lagta Jane Kis Cheez Ki Kami Hai Abi
Ye Uri Uri Se Rangat Ye Khilay Khilay Se Ghaisu Teri Subah Keh Rahi Hai Teri Raat Ka Fasana
Ye Subah Ki Safeedian Ye Dupehar Ki Zardian Ab Aayne Mein Dekhta Hun Mein Kahan Chala Gaya
Udasi, Sham, Tanhai, Kasak Aur Yaadon K Be chaini Muje Sab Sonp Kar Soraj Utar Jata Hai Pani Mai
Shaam-e Firaq Ab Na Poch Ayi Aur Aa Ke Tal Gai Dil Tha Ke Phir Behal Gya Jan Thi Ke Phir Sambhal Gai
Kuch Nahi Chahye Tuj Se Ae Umar-E Rawan Mera Bachpan Mere Jugnu Meri Ghuriya La De
Yun Bicharna Bhi Bohat Asan Na Tha Us Se Magar Jata Jate Us Ka Wo Mur Kar Dobara Dekhna
Mujhe Nikaal ke Mujh Mein Se Koi Dafan Karo Badan Mein Apne Hi Ghut Ghut Ke Mar Chuka Hun Main
Showing 100 of 133