133 poems · 32 poets
Ik Ghazal Mir Ki Parhta Hai Parosi Mera Ik Nami Si Meri Dewar Mai Aa Jaati Hai
Dil Us Ko Dia Hai Tu Wohi Us Main Rahe Ga Ham Log Imanat Main Khyanat Nahi Karte
Bana Kay Sulgatey Hoye Sehra mn ek Raate Ka Ghar Phir Yoon howa , WO shakhs hawayon ko es ka pata day gaya
Suna Hai Us Ko Mohabat Duayen Deti hai Jo Dil Pe Chot Tu Khaye Mgar Gila Na Kare
Pyas Kehti Hai Ab Rait Nichori Jaye Apnay Hisay Main Samandar Nahi Aane Wala
Bahut Nazdeek Ho Kar Bi Wo Itna Door Hai Muj Se Ishara Ho Nahi Sakta Pukara Ja Nahi Sakta
Bahut Naaz Tha Muje Apne Chahne Walon Par Me Azeez Tha Sab Ko Magar Zarorton Ke Liye
Bahut Dard Chupe Hain Raat Ke Har Pehlu Main Acha Ho Ke Kuch Dair Ke Liye Neend A Jaye
Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate Ye Log Bhi Kia Log Hain, Mar Kion Nahi JateHai Kon Zamane Mein Mera Poochne Wala?? Nadaan Hain Jo Kehte Hain Ke Ghar Kion Nahi JateShouley Hain To Kion In Ko Bharakte Nahi Dekha?? Hain Khak To Rahon Mein, Bikhar Kion Nahi JateAansu Bhi Hain Aankhon Mein, Dua’in Bhi Hain Lab Par, Bigrey Hue Halaat, Sanwar Kion Nahi Jate
Tmam umar usi ke khayal main guzri faraz Mera khayal jisy umar bhar nahi aya
Ajeeb tarah se dono nakam hoye mohsin Wo mujay chah na saka or main usay bhula na saka
Jawab deta hoon main bi Kamal Aankhon se Wo le ke ate hain jab bhi sawal aankhon main
Hazaron gham zamany ke dra muj ko nahi sakte Bahut mazboot hoon main bi rula muj ko nahi sakteTumhare dil main jo kuch hai kaho muj se mery dilbar Sabi se dard kehte ho bta muj ko nahi sakte
Showing 133 of 133