bad-guman to na ho ay humnawa
fasloun ka ehatmam to na kr
kuch ehsas mere naam kar
meri batoun ko na samjh harf-e-akhir
main majboor sahi, lachar houn akhir
faisle to khud sy na kar
tu a kay meri jagga khud ko chun
manta houn , janta houn
bher main kiya tha tanha
hijr ki shabb bakhshi thi tumhain
kabhi apna , kabhi ghair ….kiya kiya kaha tha
haan tum ko haq ha ..
tum jese kaho main manta houn
nam ankhoun sy dekhta houn
chahae mujhay ghair bulao
chahae koi taluq bojh samjho
chahae mujhe bhool jao
haan tum ko haq ha
par itna ha fahad
main tum sy bichar kr boht roya
kai pehar khud ko sambhala
sansoun ko qaid kiya
yaadoun ko yaad bht kiya
main tum sy bichar kar booht roya
aik sawal ha…??
kiya is qadar nazuk thay rishte
aik pal main tum khafa ho gaye
woh mujh ko samjhnae ka daawae
kiya main galat tha jo tum ko samjhta tha alag
tum bhi nikle faqat lafzoun ka mahir
mere andar ko na jaan payae
tum bhi na mjhe jaan payae
hairat ha !!!!
jisse apna maana
wohi anjan nikala..
Subscribe
0 Comments