Chale Ga Pani Magar

Azal Se Qayam Hain Dono Apni Zidon Pe Mohsin
Chale Ga Pani Magar Kinara Nahi Chale Ga
Azal Se Qayam Hain Dono Apni Zidon Pe Mohsin
Chale Ga Pani Magar Kinara Nahi Chale Ga
Rait pe kbi naam likhte nahi
Likhe naam kbi tikte nahi
Log to kehtay hen him pathar dil hen
Liken patharon pe likhe naam kabhi mitte nahi
Submitted By: Sadia
Aik Bewafa Say Dosti Laga Kar Ro paray
Usy Dubara Dekh Kar Khushi Say Ro paray
Woh To Dost Ki Shakal Main Tah Hi Bewafa
Usy Apna Dil Day Kar Ro paray
Submitted By: M Waqar Khan
Ye na samjho k bichra hon to bhol gya hon tm ko
Tere hathon ki khoshbo mare hathon main aaj bhi hai
Ye or baat hai mjboreon ne nibhane na dya wo taaluk
Warna shamil sachai meri wafaon main aj bhi hai
Mohabat say barh kr tum say aqedat hai mujha aj bhi
Yon maqam tera buland mere dil main aaj bhi hai
Har lamha zindagi mai muhabatain naseeb hon tujhe
Shamil tu meri zindagi ki duaon mai aj bi hai
Submitted By: Usama Qaisrani
Nahi Me Gam Se Ubra Hun,kahi Ek Dard Baki He
Nahi Wo Ab Milegi Par,abhi Ummeed Baki He
Safar Me Ishk Ke Yaaro,main Kiya Kiya Dastan Likhu
Bahut Se Khawab Tute He,bahut Se Khawab Baki Hain
Bas Uski Yad Me Ab To,mujhe Khone Do Us Had Tak
Agar Me Ro Raha Hun To,mujhe Rone Do Us Had Tak
Bahut Aansu He Aankho Me,inhe Behne Se Na Roko
Bahe Jo Kuchh Nahi Ye To,abhi Sailab Baki He
Rahegi Jaan Jab Tak Ye, usay Na Bhol Paaun ga
Ke Jab Tak Mit Na Jaun Main,use Shiddat Se Chahunga
“husain’ Ab Baat Ye He To, abhi Kese Usay Bhulu
Abhi He Dhadkane Dil Me, Abhi Kuchh Saans Baki Hai
Submitted By: S Husain Ahmad
Hum bhi chahte the ghalib ki tarah shayar ban jana
Magar Humari qalam toh aur kuch likhti hi nhi tere naam k siva
Submitted By: Vicky Kailay
Likhna merey mazaar k kutbay p ye haroof
marhoom zindagi ki harast main mar geya
Submitted By: abiha khan
Ik waqt kay khony kaa ehsaas hua hai
Ye lamha na kbhi sach ma paas hua hai
Kiun milti mjhe waqti rihaii bhi “RanJ”
Jazbaat ka qaidi bhi kbi khaas hua hai
Submitted By: Ahmad Eiqaan RANJ