Aankhon Mein Muskraon Gi

Badan Ke Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Paye Ga
Main Dil Mein Ro’on Gi Aankhon Mein Muskraon Gi
Badan Ke Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Paye Ga
Main Dil Mein Ro’on Gi Aankhon Mein Muskraon Gi
Yun Taslli De Rahe Hain Hum Dille Bemar Ko
Jis Tarah Thamay Koi Girti Hoyi Dewar Ko
Shaam-e Firaq Ab Na Poch Ayi Aur Aa Ke Tal Gai
Dil Tha Ke Phir Behal Gya Jan Thi Ke Phir Sambhal Gai
Tum Pocho Aur Mein Na Bataon Aese Tu Halat Nahi
Aik Zara Sa Dil Tota Hai Aur Tu Koi Baat Nahi
Uth Kar Tu Aa Gye Hain Teri Bazam Se Magar
Kuch Dil Hi Janta Hai Keh Kis Dil Se Aye Hain
Tumhara Dil Mere Dil Ke Brabar Ho Nahi Sakta
Wo Sheesha Ho Nahi Sakta Ye Pathar Ho Nahi Sakta
Roya Karen Gey Ap Bhi Pehron Isi Tarah
Atka Kahin Jo Aap Ka Dil Bhi Meri Tarah