The ghazal
Read it in Urdu script-
Sitaron Se Aage Jahan Aur Bi Hain Abi Ishq Ke Imtihan Aur Bi Hain
-
Tahi Zindagi Se Nahi Ye Fazain Yahan Sainkron Imtihan Aur Bi Hain
-
Qanayat Na Kar Aalm-e Rang-o Bo Par Chaman Aur Bi Aashyan Aur Bi Hain
-
Agar Kho Gya Ik Nasheman Tu Kya Gham Muqamat-e Aah O Faghan Aur Bi Hain
-
Tu Shaheen Hai Parwaz Hai Kaam Tera Tere Samne Asman Aur Bi Hain
-
Isi Roz O Shab Main Ulaj Kar Na Reh Ja Ke Tere Zaman-o Makan Aur Bi Hain
-
Gye Din Ke Tanha Tha Mai Anjuman Mein Yahan Ab Mere Raazdan Aur Bi Hain



