Baat Hai Zamane Ki

Jafa Ke Zikar Par Tum Kun Sambhal Kar Beth Gaye
Tumhari Baat Nahi Baat Hai Zamane Ki
Read our latest collection of Jafa poetry from popular Urdu and Hindi Poets. We have a large database of poetry which is updated regularly.
Jafa Ke Zikar Par Tum Kun Sambhal Kar Beth Gaye
Tumhari Baat Nahi Baat Hai Zamane Ki
Tumhein Jafa Se Na Yun Baz Ana Chahye Tha
Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahye Tha
Ki Wafa Ham Se Tu Ghair Is Ko Jafa Kehte Hain
Hoti Ayi Hai Ke Achon Ko Bura Kehte Hain
Sitam Hi Karna Jafa Hi Karna, Nigah-e Ulfat Kabi Na Karna
Tumhein Qasam Hai Hamare Sar Ki Hamare Haq Mein Kami Na Karna
Jafa jo ishq main hoti hai wo jafa hi nahi
Sitam na ho tu muhabat main kuch maza hi nahi
Ultay Wo Shikway Karte Hain Aur Kis Ada Ke Sath
Be Taqti Ke Ta’ne Hain Uzar-e Jafa Ke Sath
Allah Re Gumrahi But o But Khana Chor Kar
Moman Chale Hain Ka’abe Ko Ik Parsa Ke Sath