2205 poems
Jane Kin Rishton Ne Mujh Ko Bandh Rakha Hai Ke Main Mudaton Se Aandhiyon Ki Zad Mein Hun Bikhra Nahi
Mere Sabr Ki Intiha Kia Pochte Ho Faraz Wo Muj Se Lipat Ke Roya Kisi Aur Ke Liye
Firaq-E Yaar Ne Bey Chain Muj Ko Raat Bhar Rakha Kabi Takkya Idhar Rakha Kabi Takkya Udhar Rakha
Inqilab Aye Ga Raftaar Se Mayoos Na Ho Bohat Aahsita Nahi Hai Jo Bohat Taiz Nahi
Kaam Aa Saken Na Apni Wafayen Tu Kya Krein Us Bewafa Ko Bhol Na Jayen Tu Kya Krein
Bheer Hai Bar-Sare-Bazar Kahin Aur Chlain Aa Mere Dil Mere Gham Khawar Kahin Aur Chlain
Aankhon Main Intezaar Ke Lamhat Sonp Kar Neendain Bi Le Gaya Wo Apne Safr Ke Sath
Chup Kahin Aur Liye Phirti Thi Batain Kahin Aur Din Kahin Aur Guzarte Thay Tu Raatain Kahin Aur
Darwaza Khatkhta Ke Sitare Chalay Gye Khawabon Ki Shaal Aorh Ke Main Aonghta Raha
Sir-e Tur Ho Sir-e Ishq Ho Hmain Intezaar Qabool Hai Wo Kabi Milain, Wo Kahain Milain, Wo Kabi Sahi, Wo Kahin Sahi
Aalam Mein Ji Ski Dhoom Thi Us Shahkar Par Demak Ne Jo Likhay Kabi Wo Tabsarey Bhi Par
Jab Us Ki Zulf Mein Pehla Safaid Baal Aya Tab Us Ko Pehli Mulaqat Ka Khayal Aya
Main Tere Milne Ko Mojza Keh Raha Tha Lekin Tere Bicharne Ka Saniha Bi Kamal Guzra
Do Hi Cheezain Is Dharti Mein Dekhne Wali Hai Matti Ki Sundarta Deko Aur Mujhe Dekho
Ab Tak Na Khabar Thi Mujhe Ujrey Hoye Ghar Ki Wo Aye Tu Ghar Be Saro Saman Nazar Aya
Arz Niaz Ishq Ke Qabil Nahi Raha Jis Dil Pe Naaz Tha Muje Wo Dil Nahi Raha
Harne Walo Ne Is Rukh Se Bhi Socha Ho Ga Sar Katana Hai Tu Hathyar Na Dale Jayen
Bara Shor Suntey Thay Pehlu Mein Dil Ka Jo Cheera Tu Ik Qatra Khoon Na Nikla
Ab K Barish Mein Tu Ye Kar-e Zyan Hona Hi Tha Apni Kachi Bastion Ko Be-Nishan Hona Hi Tha
Aane Wale Kisi Tofan Ka Rona Ro Kar Na Khuda Ne Mujhe Sahal Pe Dobona Chaha
Showing 1308 of 2193