2206 poems
Gar kabhi rona hi par jaye to itna rona Aa ke barsaat tere samnay tauba kar le
Wafa ki kon si manzil pay is ne chorra tha Ke woh to yaad hamein bhool kar bhi aata hai
Ya wo thay khafa ham se ya ham hain khafa un se Kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
Awam bhook se dekho nidhaal hai ke nahi? Har aik chehray se zahir malaal hai ke nahi?Tamam cheezon ki qeemat barhai jati rahi Ghareeb maarny ki iss mein chaal hai ke nahi?
Yeh arzoo thi tujhe gul ke rubaroo karte Hum aur bulbul be taab guftagu karte
Jis ne is daur ke insaan kiye hain paida Wohi mera bhi khuda ho mujhe manzoor nahi
Koi Khamosh Ho Jaye Tu Ham Tarap Jate Hain Ham Khamosh Hoye Tu Kisi Ne Haal Tak Na Pocha
Baton mein lagaye hi mujhe rakhta hai zalim Waday wohi jhotay hain wohi shaam o sehar roz
Haq da naara vajna haq ae Zalim agay gajnaa haq aeChup jay sadhi jabir agay Teer tenu v vajna haq ae
Bas rahay hain is nagar mein jinn o insaan aik sath Yeh riwayat chal pari hai zulm o ihsaas aik sathAb tawaqqa hum se rakhna kher khawahi ki abas Hum ne saaray toar daaley ehad o paimaan aik sath
Kam se kam mout se aisi mujhe umeed nahi Zindagi tu ne to dhokay pay diya hai dhoka
Lagi dhalnay hai phir se shaam saqi Bana kar day zara ik jaam saqiPila woh jaam jo madhosh kar day Miley dil ko bhi kuch aaraam saqi
Gulon mein rang bharay bad nu bahar chalay Chalay bhi aao ke gulshan ka kaarobar chalay
Barray logon se milnay mein hamesha faasla rakhna Jahan darya samandar se mila darya nahi rehta
Ham kya kahen ahbab kya kar-e numayan kar gaye B.A kya nokar hoye pension mili aur mar gaye
Qarab acha hai magar itni bhi shidat se na mil Ye no ho tujh ko mery rog puranay lag jayen
Baray taban baray roshan sitaray toot jatay hain Sehar ki raah takna ta-sehar aasan nahi hota
Puri awaz se ik roz pukaron tuj ko Aur phir meri zuban par tera tala lag jaye
Musalsal hadson se bas mujhe itnis shakyat hai Keh ye aanso bahane ki bhi muhlat nahi dete
Lanat ho hukmraanon ke aisay nizam par Iflaas mantazar hai jahan gaam gaam parHar roz qeematon mein izafah hai be panah Joon tak bhi rengti nahi ibn-e ghulam par
Showing 228 of 2194