2206 poems
Ab to insaan ki azmat bhi koi cheez nahi Log pathar ko kkhuda maan liya karte thay
Yaad ka zakham bhi hum tujh ko nahi day satke Dekh kis aalam gurbat mein miley hain tujh se
Rang urrnay laga hai phoolon ka Ab to aa jao! Waqt naazuk hai
Us ko rukhsat to kya tha mujhe maloom nah tha Sara ghar le gaya ghar chore ke jane wala
Tumhara naam aaya aur hum taknay lagey rasta Tumhari yaad aayi aur khirki khol di hum ne
Aik hum thay sir phiray jo jal bujhe logon mein thay Warna jis ko dekhte miyaar ke logon mein thayKon zalim hukmran ki baat ka deta jawab Log jitne thay wahan sab sir katay logon mein thay
Sirf hathon ko nah dekho kabhi ankhen bhi parho Kuch sawali barray khuddar huwa karte hain
Tujhe bhol jana tu mumkin nahi hai Magar bhol jane ko ji chahta hai
Yuhin to nahi mujhko hain mehboob yeh aansu Sada rehtay hain tairay hijar se mansoob yeh aansuMey se bhi kahin barh kar, mujhe makhmoor rakhtay hain Pasandeeda hai un dinon mera mashroob yeh aansu
Ajab teri hai aey mehboob soorat Nazar se gir gaye sab khoob soorat
O dil toar ke jane walay dil ki baat batata ja Ab mein dil ko kya samjhaao mujh ko bhi samajhata ja
Wadon hi pay har roz meri jaan nah taalo Hai eid ka din ab to gilaay hum ko laga lo
Tabiat apni ghabrati hai jab sunsaan raton mein Hum aisay mein teri yaadon ki chadar taan letay hain
Woh baat saaray fasanay mein jis ka zikar nah tha Woh baat un ko bohat na gawaar guzri hai
Tamam umar ussay mujh se ikhtilaaf raha Raha woh ghar mein mere par mere khilaf rahaKhabar nahi ke tre mann mein chal raha yai kya ? Teri taraf se mera dil hamesha saaf raha
Zindagi tu ne mujhe qabar se kam di hai zameen Paon phelaon to deewar mein sir lagta hai
Jo hamaray beech mein tha faasla rehne diya Apni kashti ka purana na khuda rehne diyaLoot ka tha maal aakhir baantna to tha zaroor Hum ne apna le liya bakhra, tera rehne diya
Kuch tarz-e sitam bhi hai kuch andaz-e wafa bhi Khulta nahi haal un ki tabiyat ka zara bhi
Mera us shehr adawat main baseera hai jahan Log sajdon main bhi logo ka bura sochty hain
Salamat chahtay ho dil to itni baat mano gey Tumhe lena parre jo faisla woh zahn se lo geyPata kya waqt kaisa khail khailay, hum bhichar jayen Kahan hon ge najane hum, najane tum kahan ho gey
Showing 248 of 2194