Alwidah Dost
Apne halaat ko kaisay kaisay jiya mein ne
Woh jo dard tha tera kaisay kaisay piya mein ne
Zindagi bhallay ik taweel raah thi meri
Magar teri zaat ki khatir jiya mein ne
Woh jo umar thi teri mera pasban thi
Kya tha jo supurd tairay khud ko haraya tha mein ne
Chala tha jo teri over chorra tha sab kuch
Yaqeen jano nahi dekha tha naffa o nuqsaan mein ne Continue reading “Alwidah Dost”
Ain mumkin tha ke mein
Ain mumkin tha ke mein teray kye par sabr hi kar jata
Magar afsos! Ke meri talkhiyan bhi na guzeer thehreeren
Mera Bachpan
Ae bachpan tujhe yaad hai
Tera woh yun rotay rotay muskura dena tujhe yaad hai
Kaisay karoon mein bayan tujh ko
To ik hussain pal kaisay maamoor hua tujhe yaad hai
Hoti agar khwahish to pa lainay ka jazbah
Phir woh khushi se muyassar ya zid tujhe yaad hai Continue reading “Mera Bachpan”