Bahanay Aur Bhi Hotay

Bahanay Aur Bhi Hotay Jo Zindagi Ke Liye
Hum Aik Baar Tri Arzoo Bhi Kho Dete
Tere Siwa Bhi Kahin Thi Panah Bhool Gaye
Nikal Ke Ham Tri Mehfil Se Raah Bhool Gaye
Shab Intzaar Ki Kashmakash Mein Nah Pooch Kaisay Sehar Hui
Kabhi Ik Chairag Jala Diya Kabhi Ik Chairag Bujha Diya
Rehtay Thay Kabhi Jin Ke Dil Mein Hum Jaan Se Bhi Pyaron Ki Terhan
Baithy Hain Inhen Ke Koochy Mein Hum Aaj Gunahgaron Ki Terhan
Mein Akela Hi Chala Tha Janab-E Manzil Magar
Log Sath Aate Gaye Aur Karwan Banta Gaya
Jafa Ke Zikar Par Tum Kun Sambhal Kar Beth Gaye
Tumhari Baat Nahi Baat Hai Zamane Ki
Dil Ki Tamanna Thi Masti Mein Manzil Se Bhi Dor Nikle
Apna Bhi Koi Sathi Hota Ham Bhi Behakte Chalte Chalte
Alag Bethay Thay Phir Bhi Aankh Saqi Ki Pari Ham Par
Agar Hai Tashnagi Kamil Tu Pemany Bhi Ayen Gey