Haseen Teri Aankhien

Haseen Teri Aankhien Haseen Tere Aansu
Yehin Dob Jane Ko Jee Chahta Hai
Meri Zindagi Tu Guzri Tere Hijar Ke Sahare
Meri Moot Ko Bhi Payare Koi Chahye Bahana
Lakhon Mein Intikhab Ke Qabil Bna Dya
Jis Dil Ko Tum Ne Dekh Liya Dil Bna Diya
Mohabat Mein Ik Aesa Waqt Bhi Dil Par Guzarta Hai
Ke Aanso Khusk Ho Jate Hain Tughiani Nahi Jaati
Tere Jamal Ki Tasweer Khench Dun Lekin
Zuban Mein Aankh Nahi Aankh Mein Zuban Nahi
Niyaz-o-Naaz Ke Jhagre Mitaye Jate Hain
Ham In Mein Aur Wo Ham Mein Samaya Jate Hain
Ham Ko Mita Sake Ye Zamane Mein Dam Nahi
Ham Se Zamana Khud Hai Zamane Se Ham Nahi