Mera Dil Tu Mera Dil Ho Jaye

Zabat Bhi Sabar Bhi Imkaan Mein Sab Kuch Hai
Pehle Kam-Bakht Mera Dil Tu Mera Dil Ho Jaye
Enjoy the best collection of Ehsan Danish poetry and ghazals. He has written more than 80 books and articles. Read his romantic and revolutionary poetry collected from his different books. Our poetry collection is updated on regular basis.
Zabat Bhi Sabar Bhi Imkaan Mein Sab Kuch Hai
Pehle Kam-Bakht Mera Dil Tu Mera Dil Ho Jaye
Kuch Log Jo Sawar Hain Kaghaz Ki Nao Par
Tuhmat Trashte Hain Hawa Ke Dbao Par
Ham Haqeeqat Hain Tu Tasleem Na Karne Ka Sabab
Han Agar Harf Ghalat Hain Tu Mita Do Ham Ko
Wafa Ka Ehad Tha Dil Ko Sambhalne Ke Liye
Wo Hans Pare Muje Mushkil Mein Dalne Ke Liye
Ye Uri Uri Se Rangat Ye Khilay Khilay Se Ghaisu
Teri Subah Keh Rahi Hai Teri Raat Ka Fasana
Ab K Yun Dil Ko Saza Di Ham Ne
Us Ki Har Baat Bhula Di Ham Ne
Aik Aik Phol Bahut Yaad Aya
Shakh-e Gul Jab Jila Di Ham Ne
Aaj Phir Yaad Bahot Aye Wo
Aaj Phir Us Ko Dua Di Ham Ne
Koi Tu Baat Us Mai Bi Hai Ehsan
Har Khushi Jis Par Luta De Ham Ne
Kis Kis Ki Zuban Rokne Jaon Teri Khatir
Kis Kis Ki Tabahi Mein Tera Hath Nahi