2205 poems
Aik Mehfil Mein Kayi Mehfilen Hoti Hain Shareek Jis Ko Bhi Paas Se Dekho Ge Akela Hoga
Rehtay Thay Kabhi Jin Ke Dil Mein Hum Jaan Se Bhi Pyaron Ki Terhan Baithy Hain Inhen Ke Koochy Mein Hum Aaj Gunahgaron Ki Terhan
Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha Jab Dhob Thi Qismat Tu Shjar Kis Ke Liye ThaPardes Mai Sona Tha Tu Chat Kis Liye Dali Bahar Hi Niklna Tha Tu Ghar Kis Ke Liye Tha
Htaye Thay Jo Raah Se Doston Ki Woh Pathar Marey Ghar Mein Anay Lagey Hain
Ab Jis Taraf Se Chahey Guzar Jaye Karwan Weraniyan Tu Sab Mere Dil Mein Utar Gayin
Aaye Bhi Log Baithy Bhi Uth Bhi Kharray Hue Mein Ja Hi Dhondata Tri Mehfil Mein Reh Gaya
Wo Khat Ju Tum Ne Kabi Likha Hi Nahi Mein Roz Beth Kar Us Ka Jawab Likhta Hun
Khushbu Jaisay Log Miley Afsaanay Mein Aik Purana Khat Khoola Anjanay Mein
Suntay Hain Ishhq Naam Ke Guzray Hain Ik Buzurag Hum Log Bhi Faqeer Isi Silsilay Ke Hain
Jee Bohat Chahta Hai Sach Bolen Kya Krein Hosla Nahi Hota
Ameer Ab Hichikiyaan Aane Lagi Hain Kahin Mein Yaad Farmaya Gaya Hon
Shikaytein Bhi Bohat Hain Hikaytein Bhi Bohat Maza To Jab Hai Ke Yaaron Ke Ro Bah Ro Kahiye
Ban Gayi Hai Dil K Majbori Mulakatain Ho Gayi Hai Ab Tu Zrori Mulakatain Aankhon Se Kuch Keh K Bichar Jana Jan Le Lain Gi Ye Adhoori Mulakatain
Mana Ke Sab Ke Samnay Milnay Se Hai Hijaab Lekin Woh Khawab Mein Bhi Nah Ayen To Kya Karen
Kisay Panay Ki Khwahish Hai Ke Sajid Mein Rafta Rafta Khud Ko Kho Raha Hon
Gham Ki Barish Ne Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi Tu Ne Muje Kho Dya Mai Ne Tuj Ko Khoya NahiNeend Ka Halka Gulabi Sa Khumar Aankhon Mai Tha Yun Lga Wo Shab Ko Dair Tak Soya Nahi
Ronay Lagta Hon Mohabbat Mein To Kehta Hai Koi Kya Tre Ashkon Se Yeh Jungle Hara Ho Jaye Ga
Mere Totay Hosle Ke Par Nikalte Dekh Kr Us Ne Dewaron Ko Apni Aur Oncha Kr Dya
Ek Dil Hai Jo Har Lamha Jalane Ke Liya Hai, Jo Kuch Hai Yahan Aag Lagan Ke Liye Hai
Bachon Ki Tarah Chahy Mujhe Daant Le Koi Lekin Sharat Ye Hai Ke Mere Gham Baant Le Koi
Showing 1028 of 2193